Greesham ritu vida ho chuki hai,
ya shayad kabhi gayi hi nhain,
is dhoop mein abb bhi garmahat hai,
par kuch abb bhi baaki hai,
jo aaya tha gujar jaane ko
rach gaya iss hatheli pe,
jaise panch munkhi patti ho,
par kuch abb bhi baaki hai,
koi burai khatam nhain huyi,
sach ki bhi haani...nhain huyi
sab prajawalit hai,paak roshni se...
par kuch abb bhi baaki hai...
Zindagi ne samet liya mujhe
surakshit aapno pankhon mein,
Kishmat hamesh saath rahi,
par kuch abb bhi baaki hai...
Koi Kopal jhulsi nhain,
koi pallav tooti nhain,
kaanch sa saaf din hai,
par abb bhi kuch baaki hai..
No comments:
Post a Comment