Monday, 26 March 2012

Kuch ab bhi baaki hai...:)


Greesham ritu vida ho chuki hai,
ya shayad kabhi gayi hi nhain,
is dhoop mein abb bhi garmahat hai,
par kuch abb bhi baaki hai,

jo aaya tha gujar jaane ko
rach gaya iss hatheli pe,
jaise panch munkhi patti ho,
par kuch abb bhi baaki hai,

koi burai khatam nhain huyi,
sach ki bhi haani...nhain huyi
sab prajawalit hai,paak roshni se...
par kuch abb bhi baaki hai...

Zindagi ne samet liya mujhe
surakshit aapno pankhon mein,
Kishmat hamesh saath rahi,
par kuch abb bhi baaki hai...

Koi Kopal jhulsi nhain,
koi pallav tooti nhain,
kaanch sa saaf din hai,
par abb bhi kuch baaki hai..

Sunday, 25 March 2012

Tap raha hai tann tera...
jhulas rahe armaan hain...
Ho rahi samajh kamzor teri...
kyun kar raha Abhimaan hai...


Nasamjh tu hai nhain...
Kyun ban raha agyaan hai...
Soch ko rok belagaam udne se...
Kyun ban raha bhagwan hai...


Kyun doobi kashti teri,
jab cho chuki maidaan hai...
tu kar raha jiska bharosha...
wo soch teri shaitaan hai...


Kyun Sach se bhagta hai tu...
kya sach se anjaan hai...
ruk,thear aur soch ek pal...
sach to keval samshaan hai... 

Saturday, 17 March 2012

kuch bikhare huye bol




Kabhi Kabhi Jazbaat Jubaan ke Mohtaaz ho jate hain...Kuch to Bayaan ho Jate hain...Kuch DIL ke Raaz ho jate hain...
aur aankhon pe aitbaar na karna kyunki...
aankhein to paymana hain...jara si baat pe bhar jaeyngi...ashkon mein baha de jo raaz dil lke...wo jazbaat kya bayan kar payengi...

****************************

Mehifil ho to aisi ho ki jisme humari tanhai bhi aaye...kuch rashq usko bhi ho...aur kuch shaqq tumko bhi ho..

****************************


Mein aapni hasraton mein kuch yun uljha raha...ke teri julfon ko suljhaane ka khyaal hi nhain aaya...aur aaj payi jo fursat hai...to dikhta hi nhain tera sayaa...

****************************

Tu hi bata...ke tujhe kya naam doon...Arjoo kahun, Hasrat kahunKhawahish kahun ya khawab kahun...tu jo kahe...wahi tujhe mein kahun...

****************************
Ek lafaz mein samaati hai Duniya ki inaayat...Ek lafaz mein samaati hai Khuda ki ibaadat...Ek lafaz jisse paake, Mukkamal hai har Jahan...Koi Amma,Koi Ammi...Koi kehta hai usko MAA...for my Maa..from Me...:)

****************************